Kisi Ki Muskurahaton Pe Ho Nisar Lyrics here. Kisi Ki Muskurahaton Pe Ho Nisar is a famous old song. The song still has a place in people’s minds. The song was sung by famous artist Mukesh. The song was first aired in 1959 on the ”Anari” Movie. The music director of the song was Shankar Jaikishan. The song is written by Shailendra.Film Star: Raj Kapoor, Nootan, Nasir Hussain, Lalita Pawar Director: Hrishikesh Mukherjee

Kisi Ki Muskurahaton Pe Ho Nisar
Kisi Ka Dard Mil Sake To Le Udhar
Kisi Ke Waste Ho Tere Dil Me Pyar
Jinaa issi Kaa Naam Hai
Kisi Ki Muskurahaton Pe Ho Nisar
Kisi Ka Dard Mil Sake To Le Udhar
Kisi Ke Waste Ho Tere Dil Me Pyar
Jinaa issi Kaa Naam Hai
Mana Apni Jeb Se Fakir Hain
Phir Bhi Yaro Dil Ke Hum Amir Hain
Mana Apni Jeb Se Fakir Hain
Phir Bhi Yaro Dil Ke Hum Amir Hain
Mite Jo Pyaar Ke Liye Wo Zindagi
Jale Bahaar Ke Liye Wo Zindagi
Kisi Ko Ho Na Ho Hume To Aitbar
Jinaa Issi Kaa Naam Hai
Rishtaa Dil Se Dil Ke Aitbar Kaa
Zinda Hai Humin Se Naam Pyar Kaa
Rishtaa Dil Se Dil Ke Aitbar Kaa
Zinda Hai Humin Se Naam Pyar Kaa
Ke Mar Ke Bhi Kisi Ko Yaad Aayenge
Kisi Ke Aansuo Me Muskurayenge
Kahega Phool Har Kali Se Bar Bar
Jinaa Issi Kaa Naam Hai
Kisi Ki Muskurahaton Pe Ho Nisar
Kisi Ka Dard Mil Sake To Le Udhar
Kisi Ke Waste Ho Tere Dil Me Pyar
Jinaa issi Kaa Naam Hai